Sri Krishna Janmashtami Poems in Hindi

Janmashtami Poems in Hindi, Krishna Janmashtami Hindi Poems:

Krishna Janmashtami Hindi Poems

POEM - 1:

Ekk Ungli Peh Parbat Ko Udha Leta Hey,
Voh Toh Natkhat Hey Duniya Koh Nacha Deta Hey.

Uski Baahon Me Samaye Hey Samandar Kitne,
Voh Hi Kasti Ko Kinare Bhi Laga Deta Hey.

Teri Takdir Hey Jo Naam Suna Hey Tune,
Be Jabani Meh Jo Awaj Sun Deta Hey.

Meri Fariyaad Meh Koe Kami Na Baki Rahe,
Mujhe Yeh Fikr Nahi Kya Woh Sila Deta Hey.

POEM - 2:

Aaya Aaya Janmdin Hey Aaya
Yasoda Ke Gopal Ka
Gaeyo Ke Gvala Ka
Balram Ke Chhote Bhai Ka
Aaya Aaya Janmdin Hey Aaya

Devki Ke Nandan Ka
Radha Ke Pyaar Ka
Meera Ke Giridhar Gopal Ka
Rukmani Ke Jeevan Aadhar Ka
Aaya Aaya Janmdin Hey Aaya

Yeh Tyovhar Uss Giridhar Ka
Hamare Apne Murlidhar Ka
Yeh Din Krishna Kanhiya Ka
Hamare Bansi Bajeye Ka
Aaya Aaya Janmdin Hey Aaya

POEM - 3:

Bharat Ke Is Mahabharat Mein Krashna Tumhe Aana Hi Hoga
Fir Se Is Dharti Par Yudh Ka Shankh Bajana Hi Hoga
Shudharshan Chakra Haath Mei Le
Bhrasht Netao Ko Narak To Pahuchana Hi Hoga
Krishna Tumhe Aana Hin Hoga

Mehangai Ki Ho Rahi Dino-Din Bahaar
Roj Badh Rahe Yaha Atyachar
Bhrashtachar Ban Gaya Ab Vyapar
Desh Ke Karndharo Ko
Purusharth Ka Paath Padhana Hi Hoga
Krishna Tumhe Aana Hi Hoga

Sant Mahatma Va Dharm Ke Thekedar
Kehete Hai Hum Bhagwan Ke Avtaar
Aise Pakhand Ke Avataariyo Ko
Apko Darsh Dikhlana Hi Hoga
Krishna Tum He Aana Hi Hoga

Yaha Bhai Ke Saath Bhai Ka Rehna Ho Gaya Dushwar
Tuut Rahe Sanyukt Parivaar
Budhe Maa-Baap Ban Gaye Lachar
Kusanskaro Ki Is Banjar Zamee Par
Sanskar Ke Beej Ab Buaana Hi Hoga
Krishna Tumhe Aana Hi Hoga!

POEM - 4:

Teri Murli Neh Kiya Aisa Haal
Saara Jag Hin Ho Jaye Behaal
Ban Upban Main Dhenu Charaye
Gopiyon Ke Sang Raas Rasaye

Kanha Kanha Har Mukh Gaaye
Natkhat Kitna Maiyan Bole
Har Gopi Tujhe Doost Pukaare

Raadha Har Pal Pyaar Main Tere
Prem Diwaani Banti Hai
Meera Tera Naam Hai
Bhajti Darsan Diwani Banti Hai

Aur Na Sataa Tu Aa Bhi Jaa Ab
Dhund Rahi Har Nain Tujhe Hai.

POEM - 5:

Gokul Ki Galiya Bhi Dekhe Teri Rahe,
Yamuna Ki Lahere Bhi Puchhe,
Hame Chhod Gaya Tu Kahare?

Kalyug Ke Dukho Ko Tu, Kamh Karne Ko Aajaa,
He Krishna Kanhiyaa! Shakha Sudaama Ko Tarne Ko Aaja.

Virndavan Murali Ke Taano Ko Sunane Ko Tarase,
Megh Gher Ghata Fir Goverdhan Par Naa Hai Barase.

Balrama Ke Saath Aakar, Koe Nai Kahani Rachavo,
He Krishna Kanhiyaa! Tum Fir Aavo.

POEM - 6:

Prem Ki Murat, Ae Krishna Tum Fir Aao,
Ess Dhara Ke Paap Ko, Ekk Baar Fir Mitavo..

Sar Se Upar Ho Chuka Hai, Paani Paap Ka,
Aa Kar Keh Tum, Ess Atyachar Ko Mitavo..

Batt Tumne Jo Kahi Thi, Shayad Bhul Chuke Hey Log,
Aa Kar Keh Tum Fir Se, Gita Ka Paath Padhavo..

Prem Ki Murat, Ae Krishna Tum Fir Aao..

0 comments :

Post a Comment